Campus18 Forum
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.
Campus18 Forum


 
HomePortalSearchLatest imagesRegisterLog in

 

 khwab aur haqiqat

Go down 
2 posters
AuthorMessage
ankita bhardwaj

ankita bhardwaj


Female Number of posts : 109
Age : 35
Location : new delhi
Registration date : 2007-07-09

khwab aur haqiqat Empty
PostSubject: khwab aur haqiqat   khwab aur haqiqat Icon_minitimeMon Jul 16, 2007 8:55 pm

khawab jo hum sab ke apne hote hai, Waqt k sath hamare khawab bhi badal jaya karte hai.
Jub hum bache the toh ache ache khilone pane ka khawab, nani dadi ki kahaniyo ki pariyon se milne ka khawab………. bade hue toh kuch kar dikhane ka khawab…….,Waqt ke sath hum badle hamare khawab bhi badle………..
Aur jub kabhi khawab poore hue toh aisa laga jaise baadlo ko choo liya hoo ya u kahoon ki bus wahi ek akhri manzil thi.... per aisa kabhi nahi hua ki ek khawab poora ho jaane ka baad doosra na dekha hoo…



Khawab dekhna aur unke poore hone ki khawaesh..... koi buri baat nahi. Agar khawab na hoo toh duniya mai kuch nahi rahega shayad fir kuch aisa kahoon ki koi arzoo hi na rahe….


lekin kyo jub khawab toote hai tub hum bhi tut jaate hai?khwab aur haqiqat Red5


kya sirf inhi per zindagi chalti haikhwab aur haqiqat Red4




Agar aisa hota toh …. hum kewal khawabo ke badlon mai hi udte reshte... zindagi ki vastavikta ka samna karne ka man hi nahi karta.khwab aur haqiqat Red17


Khawab dekho aur use poora karne ka dum rakho…. Beshak kabhi woh toot bhi jaaye toh fir ek naya aur behtar khawab dekho. Maana khawabo per apna bus nahi chalta per……… hakikat aur bhraam mai farak karna sikho kyoki dost…

Yeh aaj hi tumhara hai aur kul na maine dekha na tumne khwab aur haqiqat Red20


khawab toh zindagi ke tat per padi hui rait hai jaise hai.... jise waqt hamesha baha kar le jaya karta hai…..
Back to top Go down
crank

crank


Male Number of posts : 12
Age : 34
Location : D-Hell-I
Registration date : 2007-07-02

khwab aur haqiqat Empty
PostSubject: Re: khwab aur haqiqat   khwab aur haqiqat Icon_minitimeWed Jul 18, 2007 2:36 am

khwab aur haqiqat Suidog1eg
Back to top Go down
 
khwab aur haqiqat
Back to top 
Page 1 of 1

Permissions in this forum:You cannot reply to topics in this forum
Campus18 Forum :: Blogs :: General Blogs-
Jump to: